Ingredients:
- 3.5 cup maida
- 3 cup Sugar
- 3 tbps desi ghee
- 1/4 tbsp elaychi powder
- 1 packet ENO
- 1/4 of Haldi/food color/kesar
- Oil to fry
Chashni:
- Ek pan me 2 cup pani & 3 cup sugar dal kar medium anch par ache se mix kare.
- Chashni me koi bhi food colour, haldi ya Kesar dale. Chashni ke colour ke according hi jalebi ka colour ata hai.
- Chashni ko ache se ubale aur tab tak pakaye jab tak sugar ache se pani me ghul na jaye.
Jalebi:
- Ek bowl me 3.5 cup maida, 3 tbsp desi ghee, 1 packet ENO dal kar ache se mix kare.
- Ab esme thoda thoda krke pani dalein aur ache se milate huye sare lumps ko kahatm karde.
- Mixture ek dum smooth hona chahiye. Ye na to bhut jyada hard acha hoga ya nhi bhut jyada patla. Mixture ki consistency ko medium rakhein.
- Ek kadhahi jo niche se flat ho, usme oil garam kare.
- Utla time koi bhi plastic paper ya poly-bag le kar uski side me bareek hole kate.
- Ab ready mixture ko thoda thoda krke bari bari se piping bag me bhare. (You would be needing more than one piping bag)
- Oil jab ache se garam ho jaye to tej anch par hi piping bag se jalebi ka design bnaye.
- Jalebi ko chimta ki help se dono tarah se ache se fry kare.
- Gold brown hone par fried jalebi ko sidha chashni me dalein aur 2 min tak daba ke rakhe. Chashni bhi ache se garam honi chahiye ni to jalebi me ache se mithas ni ayegi.
- Jalebi ko chashni se nikal kar plate me rakhein aur garma garm serve karein
Meethi Bundi:
- Jalebi ke hi batter se meethi bundi/ bdana bhi bnaya ja skta hai.
- Bundi bnane ke liye ek channi le jisme chote chote bhut sare holes ho.
- Ab Channi me 1/4 cup maida ka mixture dal kar upr se ache se failaye.
- Chote chote bundi ke dale frying pan me girne start ho jayenge.
- Oil ke cheenton se bachne ke liye dhyan rakhein ki channi jyada uchi na ho aur gas kam anch pe ho.
- Bundi ache se failane ke bad gas tej kar lein aur bundi ko light brown hone tak fry karein.
- Fried bundi ko chashni me dalein.
- 2 minutes baad bundi ko chashni se nikal kar serve karein.
Let’s Talk!
Do try this recipe at home & Share your valuable feedback & experience with us in comment section. Happy cooking ๐ Take care & Stay tuned for more!!
Related : Homemade Bread Rasmalai
Featured : Crispy Allu Tikki
Follow us on social Media
Facebook : https://m.facebook.com/Mr-Mrs-chef-531867426858272
Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCxvfIF042AbHDkfO30I8SAA/featuredhttps://youtu.be/wRouI487Phk
One thought on “Crispy Jalebi Recipe | Meethi Bundi Recipe | Sweet dish Combo”