No Kites, No Dj, No Music, No Shor, Such a boring Basant Panchami ๐ฉ๐ฉ๐ฉ
In the childhood days we used to start preparing for Bansant Panchami many days in advance from buying the best “Patang & door” (kites & threads) to having the huge collection of kites collected from own and neighbours terrace. Kitni baar to ek diwar se dusri diwar par kudte huye chot bhi khayi hai aur ghar walon se daant alag. Basant pe school me chutti ho ka ho ghar pe 1 month phle se hi bolna start ho jata tha ki basant wale din school nhi jana.
.
Aur kitne hi months phle se daily ka schedule hota tha ki school se ghar ake homework karke evening me mai aur bhaiya daily patang udate the, aur shaam to dant padne par ya to fhir patang ya door khatam hone pe hi terrace se niche ate the. Aur sath me Eske sath hi shuru hoti thi humari savings daily pocket money se kuch kuch paise bachate the taki basant ki ache se shopping kar sake aur fhir ata hai basant ke ek din phle ka din.
.
Apni savings and ghar se paise leke kar ek se ek gabardast patang leke ate the kuch 50 paise wale jo shining wale paper se bane hote the aur size me thode chote hote the unko “pariya” bolte the aur kafi sare 1rs wale jo normal size me hote the jino “patang” kehte the fhir thode se 2rs wale jinko “chaaj” ya “chabbu” kehte the aur kabhi kabhi aur thode jyada paise hote to 5rs wale designer patang, jo kuch size me bhut hi jyada bade hote the half single bed ke size ke ya alag alag shape ke jese hallicopter ya koi bird shape me. Aur eske sath hi ek dum pakki wali manjha jisko hum log punjabi me (door) bolte hai vo lete the aur uske ek bundle ko “Gutt” bola jata aur us door ko firki jisko hum “charkhadi” bolte the uspe lipatwake leke ate the. Ek gutt aprox 250-300 ka ata tha. Aur jiske pass gutt hota tha uski alag hi shaan hoti thi. Aj se 10-15 saal phle sab mila ke 1000 ka shopping just for Basant was actually a big thing. Eske sath hi leke ate the kite tape jisko hum “cheppi” bothe the aur sath hi balloon normal balloon nhi special orange colour ke balloon jo fingers ko door se katne se bachate the.
.
Sab shopping krne ke baad Beth jate hum sab patango ko ready krne unke door lagake es process ko “tadame dalna” bolte hai jisme patang me holes karke ek special way de door ko patang de bandha jata hai. To sab patango me (on an average 100-150) door lagate lagate raat ho jati thi. Aur fhir ata hai THE DAY, The most awaited Bansant Panchami ka din. Din ki shuruaat hoti thi subha subha 6-7 bje aur charro taraf har ghar me sab log Apne apne terrance pe hote aur har side full volume pe DJ chal rahe hote, actually competition hota tha ek dusre se jyada tez music bajane ka. Aur fhir pura din bina ruke bina thake patang udate aur jinko patang udana nhi ata tha unki duty lagti thi fhirki (charkhadi) sambhalne ne, fhir baari ati patango ko bidhane ki matlab “peche ladane ki” ek dusre se jyada ucha patang udate fhir jo bhi raste me ata uske sath peche ladake patang ya to kat dete ya fhir cut jata. Aur jo katta vo jor se “ayyiii boo” “katta oye” bolte remember movie “Kai Po che” uska yahi matlab hota hai.
.
Aur ek aur ritual tha humara haar baar ka lunch me kadhi chawal khane ka. Mumma kadhi chawal hi banate the basant me wese to mithe chawal bante hai but mere aur bhaiya ke liye special kadhi chawal bante the (easy hote the na khane aur khilane) nhi to hum kaha break lene wale the. Lol.
.
Ek secret btau mere se bhut jyada bade patang to chadte nhi the. But chote patang aur hawa ka sahara hota tha ๐.
.
Us time na to sabke pas Mobile phones the na photography ka trend bus mast hoke pura din patang udate the aur sham ko thak ke jab niche jane lagte to ek patang ko bhut uchaa uda ke piche se door kat dete aur usko tab tak dekhte rehte jab tak vo dikhna band na ho jata ๐ค